ye shahr tamam andoh mein hai
ye shahr tamām andoh meñ hai
is raat sipāhī gasht par aayā nahīñ
tum ghar jā saktī ho
aur shahr ke bāhar jitne shahr haiñ sab ke sab andoh meñ haiñ
kal hafte kī ta.atīl kā pahlā din hogā
vo laḌkī ghaas pe baiTh ke likhtī hai aur hañstī hai
ik tez hañsī jo saat gharoñ ko chiir ga.ī
vo laḌkī ghaas pe baiTh ke likhtī hai aur hañstī hai
in lafzoñ par jo us ne likhe
in lafzoñ par jo is se pahle aane vaale sab ne likhe
in lafzoñ par jo is ke ba.ad ke aane vaale shāyad is par likheñge
vo hañstī hai aur likhtī hai aur hañstī hai
aur shahr tamām andoh meñ hai
koī patthar aan haTā.egā
is ghar ke bāhar ik ghar hai
tum ghar meñ jā kar so rahte
aur ḳhvāb ke liye dam kaahe ko aane haiñ
ḳhvāb to rath par aate haiñ
aur tum ne rath-devtā ko ḳhvāb meñ Daal diyā
ab shahr aur ḳhvāb aur aañkh kā rishta TuuT gayā
ab dariyā phailtā jaatā hai
aur koī kinārā paas nahīñ
aur dariyā phailtā jaatā hai
aur dariyā phailtā jaatā hai
aur dariyā phailtā jaatā hai
ye shahr tamam andoh mein hai
is raat sipahi gasht par aaya nahin
tum ghar ja sakti ho
aur shahr ke bahar jitne shahr hain sab ke sab andoh mein hain
kal hafte ki tatil ka pahla din hoga
wo laDki ghas pe baiTh ke likhti hai aur hansti hai
ek tez hansi jo sat gharon ko chir gai
wo laDki ghas pe baiTh ke likhti hai aur hansti hai
in lafzon par jo us ne likhe
in lafzon par jo is se pahle aane wale sab ne likhe
in lafzon par jo is ke baad ke aane wale shayad is par likhenge
wo hansti hai aur likhti hai aur hansti hai
aur shahr tamam andoh mein hai
koi patthar aan haTaega
is ghar ke bahar ek ghar hai
tum ghar mein ja kar so rahte
aur KHwab ke liye dam kahe ko aane hain
KHwab to rath par aate hain
aur tum ne rath-dewta ko KHwab mein Dal diya
ab shahr aur KHwab aur aankh ka rishta TuT gaya
ab dariya phailta jata hai
aur koi kinara pas nahin
aur dariya phailta jata hai
aur dariya phailta jata hai
aur dariya phailta jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.