ye yaqin ye guman
kanār-e-āb sar-e-shām aa ke baiThā huuñ
nazar meñ sabr se begāna ik samundar hai
ubhartā dabtā machaltā biphar ke baḌhtā huā
kabhī utartā huā aur utar ke chaḌhtā huā
tamāsha sa.ī-e-junūñ-ḳhez kā dikhātā huā
tilism-e-fikr se apnī taraf bulātā huā
kanār-e-āb sar-e-shām aa ke baiThā huuñ
nazar meñ ek hujūm-e-jigar-figār liye
dil-o-dimāġh meñ sau uljhanoñ kā baar liye
nafas nafas meñ ġham-e-zīst ke sharār liye
ḳhayāl-o-fikr-o-tajassus kā ḳhalfashār liye
yaqīñ kā josh liye vahm-e-sho.ala-bār liye
kanār-e-āb sar-e-shām aa ke baiThā huuñ
nazar meñ ek ajab dil-fareb manzar hai
vahāñ pe duur zarā duur kuchh zarā aage
ufuq se haath milātā huā samundar hai
vahāñ pe hai koī kamtar na koī behtar hai
madār-e-zīst vahāñ to barābarī par hai
vahāñ na hai koī zulmat na koī māyūsī
har ek zarra vahāñ raushan-o-munavvar hai
pahuñch gayā hai jo us anjuman meñ ḳhush-tar hai
maiñ sochtā huuñ ki ek jast meñ pahuñch jā.ūñ
us ek jast meñ jo fāsloñ kī dushman hai
vahāñ hayāt jahāñ qahr hai na uljhan hai
magar Thahar zarā ai dil ye soch luuñ pahle
pahuñch gayā jo maiñ us sarhad-e-nigāh talak
vahāñ pahuñch ke agar aah aisā ho jaa.e
nazar ke sāmne jo kuchh thā mahz dhokā thā
vo ik hasīn tasavvur thā jo ki dekhā thā
vo had jahāñ ki samundar ufuq ko chhūtā thā
kuchh aur baḌh ga.ī aage jo sarhad-e-imkāñ
madār-e-zīst bhalā phir banā.eñge kis ko
ḳhirad kī manzil-e-āḳhir banā.eñge kis ko
ḳhirad kī manzil-e-āḳhir na mil sakegī kabhī
magar ye ziist to phir bhī guzārnī hogī
lagā duuñ jast ki ye sarhad-e-nigāh bahut
hasīn lagtī hai kal kyā ho ye kise mālūm
kanār-e-āb sar-e-shām aa ke baiThā huuñ
yaqīñ kā josh liye azm kā ḳhumār liye
junūn-e-shauq liye fikr-e-hoshiyār liye
kanar-e-ab sar-e-sham aa ke baiTha hun
nazar mein sabr se begana ek samundar hai
ubharta dabta machalta biphar ke baDhta hua
kabhi utarta hua aur utar ke chaDhta hua
tamasha sai-e-junun-KHez ka dikhata hua
tilism-e-fikr se apni taraf bulata hua
kanar-e-ab sar-e-sham aa ke baiTha hun
nazar mein ek hujum-e-jigar-figar liye
dil-o-dimagh mein sau uljhanon ka bar liye
nafas nafas mein gham-e-zist ke sharar liye
KHayal-o-fikr-o-tajassus ka KHalfashaar liye
yaqin ka josh liye wahm-e-shoala-bar liye
kanar-e-ab sar-e-sham aa ke baiTha hun
nazar mein ek ajab dil-fareb manzar hai
wahan pe dur zara dur kuchh zara aage
ufuq se hath milata hua samundar hai
wahan pe hai koi kamtar na koi behtar hai
madar-e-zist wahan to barabari par hai
wahan na hai koi zulmat na koi mayusi
har ek zarra wahan raushan-o-munawwar hai
pahunch gaya hai jo us anjuman mein KHush-tar hai
main sochta hun ki ek jast mein pahunch jaun
us ek jast mein jo faslon ki dushman hai
wahan hayat jahan qahr hai na uljhan hai
magar Thahar zara ai dil ye soch lun pahle
pahunch gaya jo main us sarhad-e-nigah talak
wahan pahunch ke agar aah aisa ho jae
nazar ke samne jo kuchh tha mahz dhoka tha
wo ek hasin tasawwur tha jo ki dekha tha
wo had jahan ki samundar ufuq ko chhuta tha
kuchh aur baDh gai aage jo sarhad-e-imkan
madar-e-zist bhala phir banaenge kis ko
KHirad ki manzil-e-aKHir banaenge kis ko
KHirad ki manzil-e-aKHir na mil sakegi kabhi
magar ye zist to phir bhi guzarni hogi
laga dun jast ki ye sarhad-e-nigah bahut
hasin lagti hai kal kya ho ye kise malum
kanar-e-ab sar-e-sham aa ke baiTha hun
yaqin ka josh liye azm ka KHumar liye
junun-e-shauq liye fikr-e-hoshiyar liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.