ye zard-ru chand KHatm-e-shab ka
jo lamha bhar ko mire darīche meñ ruk gayā hai
siyāh peḌoñ kī niim ḳhvābīda Tahniyoñ se
ulajh rahā hai
ik āḳhirī ashrafī kī sūrat
jo kīsa-e-shab meñ rah gayā hai
ye māh-e-bismil
jo yaad kī hadd-e-āḳhirīñ par
qadīm rātoñ meñ bhī mirā ham-nafas rahā hai
jo sard tārīk sā.atoñ meñ
sukūt-e-sahrā-e-nīm-shab meñ
mirī ḳhamoshī kā ham-navā hai
ye chāñd jo apnī chāñdnī kā
fusūn-e-derīna le ke mere
dabīz ḳhvāboñ meñ bas gayā hai
kahāniyoñ meñ purāne qissoñ meñ dāstānoñ meñ boltā hai
tilism-o-nairañg kī zabāñ meñ
ye chāñd jo apnī chāñdnī meñ
udaas qarnoñ ke ġham chhupā.e
mire darīche meñ Dhal rahā hai
ye chāñd jis kā qadīm ujālā
mire nafas meñ pighal rahā hai
ye chāñd mere dil-o-nazar meñ
hazār sadiyoñ se jal rahā hai
ye zard-rū chāñd ḳhatm-e-shab kā
jo lamha bhar ko mere dariche mein ruk gaya hai
siyah peDon ki nim KHwabida Tahniyon se
ulajh raha hai
ek aaKHiri ashrafi ki surat
jo kisa-e-shab mein rah gaya hai
ye mah-e-bismil
jo yaad ki hadd-e-aKHirin par
qadim raaton mein bhi mera ham-nafas raha hai
jo sard tarik saaton mein
sukut-e-sahra-e-nim-shab mein
meri KHamoshi ka ham-nawa hai
ye chand jo apni chandni ka
fusun-e-derina le ke mere
dabiz KHwabon mein bas gaya hai
kahaniyon mein purane qisson mein dastanon mein bolta hai
tilism-o-nairang ki zaban mein
ye chand jo apni chandni mein
udas qarnon ke gham chhupae
mere dariche mein Dhal raha hai
ye chand jis ka qadim ujala
mere nafas mein pighal raha hai
ye chand mere dil-o-nazar mein
hazar sadiyon se jal raha hai
ye zard-ru chand KHatm-e-shab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.