yudhishthir
abhī chiiḌ ke jañgaloñ se guzarnā bahut jāñ-fazā hai
ka.ī miil ke baad barfīle tūdoñ kā sahrā milegā
jahāñ sard purvā.iyoñ ke thapeḌe thirakte mileñge
umūdī Dhalānoñ kā ik silsila bhī milegā achānak
jise paar karne kī dhun meñ tumheñ apne sab sāthiyoñ ko galānā paḌegā
hasīñ daraupadī aur tumhāre jarī bhā.iyoñ kī jamā.at
inhīñ barf-zāroñ kā hissa banegī
magar ye bhī hogā yudhishthir! tumhārā vafādār kuttā
tumhāre aqab meñ ba-sad-shauq har vaqt chaltā rahegā
muḳhālif fazā meñ tumhārī hī dhaḌkan kā hissa rahegā
use yaḳh jahannam nahīñ chhū sakegā
tumhāre jarī bhā.iyoñ kī vajāhat tumhārī hasīñ daraupadī kī malāhat
tumhāre vafādār kutte ke aage pashīmāñ rahegī
abhi chiD ke jangalon se guzarna bahut jaan-faza hai
kai mil ke baad barfile tudon ka sahra milega
jahan sard purwaiyon ke thapeDe thirakte milenge
umudi Dhalanon ka ek silsila bhi milega achanak
jise par karne ki dhun mein tumhein apne sab sathiyon ko galana paDega
hasin daraupadi aur tumhaare jari bhaiyon ki jamaat
inhin barf-zaron ka hissa banegi
magar ye bhi hoga yudhishthir! tumhaara wafadar kutta
tumhaare aqab mein ba-sad-shauq har waqt chalta rahega
muKHalif faza mein tumhaari hi dhaDkan ka hissa rahega
use yaKH jahannam nahin chhu sakega
tumhaare jari bhaiyon ki wajahat tumhaari hasin daraupadi ki malahat
tumhaare wafadar kutte ke aage pashiman rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.