yun bhi hota hai KHandan mein kya
maiñ
rozāna ek sau ruupe ujrat kā mulāzim huuñ
merā beTā
tyre pañkchar kī dūkān par kaam kartā hai
aur
ustād kī gāliyoñ aur thappaḌoñ ke alāva
tiis rūpa.e roz kamātā hai
biivī aur nau-umr beTī
tiin chaar baḌe gharoñ meñ safā.ī aur bartan dhotī haiñ!
mujhe yaad nahīñ
ki kabhī mere kumbe ne mil kar nāshta kiyā ho
yā
raat ke khāne ke ba.ad mil-jul kar bāteñ kī hoñ
mere bachche ab
mujh se iidī nahīñ māñgte
aur
biivī bāliyoñ aur gajroñ kā taqāza nahīñ kartī
ham sab
ḳhurāk puurī karne ke liye marte haiñ
aur
utility bil dene ke liye zinda rahte haiñ
ham ek dūsre se
ajnabiyoñ kī tarah milte haiñ
aur
ābā.ī gharoñ meñ kirāya-dāroñ kī tarah rahte haiñ
main
rozana ek sau rupe ujrat ka mulazim hun
mera beTa
tyre pankchar ki dukan par kaam karta hai
aur
ustad ki galiyon aur thappaDon ke alawa
tis rupae roz kamata hai
biwi aur nau-umr beTi
tin chaar baDe gharon mein safai aur bartan dhoti hain!
mujhe yaad nahin
ki kabhi mere kumbe ne mil kar nashta kiya ho
ya
raat ke khane ke baad mil-jul kar baaten ki hon
mere bachche ab
mujh se idi nahin mangte
aur
biwi baaliyon aur gajron ka taqaza nahin karti
hum sab
KHurak puri karne ke liye marte hain
aur
utility bil dene ke liye zinda rahte hain
hum ek dusre se
ajnabiyon ki tarah milte hain
aur
aabai gharon mein kiraya-daron ki tarah rahte hain
- Book : Duniyazad (Pg. 157)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.