yun hi sahi
chalo yuuñ hī sahī
tum sab darīche band kar do
vo havā.eñ rok do
jo ḳhalā siine kā bharne ke liye aatī haiñ
sāñseñ tumhārī saath laatī haiñ
to ''lū'' aise samay
merī ragoñ meñ ḳhuun ke badle
vo paanī hai
jo armāñ saadh lene vaale peḌoñ kā muqaddar hai
mire tūfān kī maujeñ
kisī barfīle choTī kī vo tahrīreñ haiñ jin ko
ab faqat aise farishte paḌh sakeñge
jo kabhī bad-baḳht dhartī par utarte hī nahīñ
chalo yūñhī sahī
tum jo bhī chāho
jis tarah chāho vahī hogā
maiñ ik gardāb kī mānind vāpas lauTtā huuñ
us samundar meñ
ki jis kī tah meñ jā kar
sab ḳhazāne Duub jaate haiñ
chalo yun hi sahi
tum sab dariche band kar do
wo hawaen rok do
jo KHala sine ka bharne ke liye aati hain
sansen tumhaari sath lati hain
to lu aise samay
meri ragon mein KHun ke badle
wo pani hai
jo arman sadh lene wale peDon ka muqaddar hai
mere tufan ki maujen
kisi barfile choTi ki wo tahriren hain jin ko
ab faqat aise farishte paDh sakenge
jo kabhi bad-baKHt dharti par utarte hi nahin
chalo yunhi sahi
tum jo bhi chaho
jis tarah chaho wahi hoga
main ek gardab ki manind wapas lauTta hun
us samundar mein
ki jis ki tah mein ja kar
sab KHazane Dub jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.