yun hua ek din
yuuñ huā ek din
sabz-o-shādāb jangal meñ sahrā ugā
aur āñkhoñ meñ ḳhanjar chubhe dhuup ke
dil meñ māyūsiyoñ kī chalī āñdhiyāñ
zard hone lagīñ sabz purvā.iyāñ
kho ga.e mo'atabar rishta-hā-e-tarab
chāñd kumhlā gayā
raat bujhne lagī
os kī buuñd ko tak rahī thī nazar
so gayā thā falak ḳhāmushī oḌh kar
yun hua ek din
sabz-o-shadab jangal mein sahra uga
aur aankhon mein KHanjar chubhe dhup ke
dil mein mayusiyon ki chali aandhiyan
zard hone lagin sabz purwaiyan
kho gae mo'atabar rishta-ha-e-tarab
chand kumhla gaya
raat bujhne lagi
os ki bund ko tak rahi thi nazar
so gaya tha falak KHamushi oDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.