Zad-e-safar
ye zindagī kā safar ajab hai
ki is meñ jo bhī milā
vo mil kar bichhaḌ gayā hai
chalā thā jab kārvāñ hamārā
na.e ufuq kī taraf
to ham bhī
javāñ umañgoñ ke pāsbāñ the
qadam qadam par
jab ek ik kar ke
sab hamāre rafīq chhūTe
to jin na.ī manziloñ kī jānib
chale the kal ham
vo sab ufuq kī tarah gurezāñ
ḳhalā meñ tahlīl ho ga.ī thiiñ
maiñ is masāfat se thak gayā huuñ
magar mujhe koī ġham nahīñ hai
maiñ apne baad aane vaalī nasloñ ke haq meñ
ab ye duā karūñgā
vo manzileñ jin ke vāste maiñ ne zindagī kā
aziiz sarmāya taj diyā hai
vo manzileñ un kī gard-e-pā hoñ
vahāñ se jab vo
guzar ke aage kī manziloñ kī taraf baḌheñ
merī saarī ḳhushiyoñ ko apnā zād-e-safar samajh kar
vo saath rakh leñ
ye zindagi ka safar ajab hai
ki is mein jo bhi mila
wo mil kar bichhaD gaya hai
chala tha jab karwan hamara
nae ufuq ki taraf
to hum bhi
jawan umangon ke pasban the
qadam qadam par
jab ek ek kar ke
sab hamare rafiq chhuTe
to jin nai manzilon ki jaanib
chale the kal hum
wo sab ufuq ki tarah gurezan
KHala mein tahlil ho gai thin
main is masafat se thak gaya hun
magar mujhe koi gham nahin hai
main apne baad aane wali naslon ke haq mein
ab ye dua karunga
wo manzilen jin ke waste main ne zindagi ka
aziz sarmaya taj diya hai
wo manzilen un ki gard-e-pa hon
wahan se jab wo
guzar ke aage ki manzilon ki taraf baDhen
meri sari KHushiyon ko apna zad-e-safar samajh kar
wo sath rakh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.