zaid zindagi
kahānī aur hotī kuchh hamārī
agar ham vaqt se sone kī 'ādat Daal lete
magar ham to
na jaane kyā samajhte the sahar tak jāgne ko
jo ham ne jaag kar kaaTī haiñ niiñd aate hue bhī
vo zaa.id zindagī hai
vo zaa.id zindagī hai jis ne saare mas.ale paidā kiye haiñ
jise jiine meñ
ḳhvāboñ ke ye uljhaTTe hue haiñ
kahani aur hoti kuchh hamari
agar hum waqt se sone ki 'adat Dal lete
magar hum to
na jaane kya samajhte the sahar tak jagne ko
jo hum ne jag kar kaTi hain nind aate hue bhi
wo zaid zindagi hai
wo zaid zindagi hai jis ne sare masale paida kiye hain
jise jine mein
KHwabon ke ye uljhaTTe hue hain
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 133)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.