zat ke ism ka moajiza
jab se tujh ko dekhā hai
ḳhvāb ke vasīle se
niiñd ke jazīroñ meñ
haath kī lakīroñ meñ
jab se tujh ko chāhā hai
raat kī ibādat meñ
sub.h kī duāoñ meñ
dūriyoñ kī chhāñv meñ
tab se ruuh ke andar
sabz mausamoñ jaisī
ḳhvāhisheñ humaktī haiñ
bārisheñ barastī haiñ
bijliyāñ chamaktī haiñ
ghanTiyāñ sī bajtī haiñ
jab se tujh ko dekha hai
KHwab ke wasile se
nind ke jaziron mein
hath ki lakiron mein
jab se tujh ko chaha hai
raat ki ibaadat mein
subh ki duaon mein
duriyon ki chhanw mein
tab se ruh ke andar
sabz mausamon jaisi
KHwahishen humakti hain
barishen barasti hain
bijliyan chamakti hain
ghanTiyan si bajti hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 495)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.