zat ki kal koThari se aaKHiri nashriya
ab koī sahrā na ūñToñ kī qatāreñ
ghanTiyāñ sī jagmagātī ḳhvāhishoñ kī
dhyān ke kohre meñ lipTī
gungunātī haiñ magar mizrāb-e-ā.indā safar ke
rāstoñ ke saaz se nārāz haiñ
maiñ usī andhī galī kī qabr meñ marne lagā
bhaag niklī thī jahāñ se
ziist paidā.ish ke dukh de kar mujhe
aañkh se chipke nazāroñ ke hazāroñ daaġh haiñ
jo vaqt kī bārish se bhī dhulte nahīñ
kaun sī dīvār meñ raḳhne haiñ kitne
kaun darvāzoñ ko kaisī chaaT dīmak kī lagī haiñ
kaun sī chhat tak kisī ne
sīḌhiyoñ meñ Thokareñ kitnī rakhī haiñ
har kahānī yaad hai
sun mire ham-zād sun!
zindagī ke khoj meñ ab
hijrateñ vājib haiñ lekin
sarhadoñ se māvarā haiñ
yā havā.eñ yā sadā.eñ yā parinde
maiñ tamannā ke jahāzoñ kā musāfir
yā passportoñ aur visoñ ke air pocket Darāte haiñ mujhe
ab koi sahra na unTon ki qataren
ghanTiyan si jagmagati KHwahishon ki
dhyan ke kohre mein lipTi
gungunati hain magar mizrab-e-ainda safar ke
raston ke saz se naraaz hain
main usi andhi gali ki qabr mein marne laga
bhag nikli thi jahan se
zist paidaish ke dukh de kar mujhe
aankh se chipke nazaron ke hazaron dagh hain
jo waqt ki barish se bhi dhulte nahin
kaun si diwar mein raKHne hain kitne
kaun darwazon ko kaisi chaT dimak ki lagi hain
kaun si chhat tak kisi ne
siDhiyon mein Thokaren kitni rakhi hain
har kahani yaad hai
sun mere ham-zad sun!
zindagi ke khoj mein ab
hijraten wajib hain lekin
sarhadon se mawara hain
ya hawaen ya sadaen ya parinde
main tamanna ke jahazon ka musafir
ya passporton aur wison ke air pocket Daraate hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.