zatiyat
jo mujh pe biitī hai
us kī tafsīl meñ kisī se na kah sakūñgā
jo dukh uThā.e haiñ
jin gunāhoñ kā bojh siine meñ le ke phirtā huuñ
un ko kahne kā mujh meñ yaarā nahīñ hai
maiñ dūsroñ kī likhī huī kitāboñ meñ
dāstāñ apnī DhūñDhtā huuñ
jahāñ jahāñ sarguzisht merī hai
aisī satroñ ko maiñ miTātā huuñ
raushnā.ī se kaaT detā huuñ
mujh ko lagtā hai log in ko agar paḌheñge
to raah chalte meñ Tok kar mujh se jaane kyā pūchhne lageñge
jo mujh pe biti hai
us ki tafsil mein kisi se na kah sakunga
jo dukh uThae hain
jin gunahon ka bojh sine mein le ke phirta hun
un ko kahne ka mujh mein yara nahin hai
main dusron ki likhi hui kitabon mein
dastan apni DhunDhta hun
jahan jahan sarguzisht meri hai
aisi satron ko main miTata hun
raushnai se kaT deta hun
mujh ko lagta hai log in ko agar paDhenge
to rah chalte mein Tok kar mujh se jaane kya puchhne lagenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.