zatiyat
jo mujh pe biitī hai us kī tafsīl maiñ kisī se na kah sakūñgā
jo dukh uThā.e haiñ, jin gunāhoñ kā bojh siine meñ le ke phirtā huuñ, un ko kahne kā mujh ko yaarā nahīñ hai,
maiñ dūsroñ kī likhī huī kitāboñ meñ, dāstāñ apnī DhūñDhtā huuñ
jahāñ jahāñ sarguzisht merī hai
aisī satroñ ko maiñ miTātā huuñ
raushnā.ī se kaaT detā huuñ
mujh ko lagtā hai, log un ko agar paḌheñge
to raah chalte meñ Tok kar mujh se jaane kyā pūchhne lageñge!
jo mujh pe biti hai us ki tafsil main kisi se na kah sakunga
jo dukh uThae hain, jin gunahon ka bojh sine mein le ke phirta hun, un ko kahne ka mujh ko yara nahin hai,
main dusron ki likhi hui kitabon mein, dastan apni DhunDhta hun
jahan jahan sarguzisht meri hai
aisi satron ko main miTata hun
raushnai se kaT deta hun
mujh ko lagta hai, log un ko agar paDhenge
to rah chalte mein Tok kar mujh se jaane kya puchhne lagenge!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.