zawiye
mujhe to be-sukūñ sā kar gayā us shoḳh kā kahnā
haqīqat ke tarāzū meñ kabhī taulā hai jazboñ ko
mohabbat ke taqaddus kā bharam rakkhā kabhī tū ne
kabhī be-sāḳhta lipTā hai mahrūm-e-sabāhat se
kabhī hāl-e-kajī pūchhā hai mas.hūr-e-qabāhat se
kabhī dasht-e-junūñ paaTā hai jazbāt-e-irādat se
kabhī sarsar se talḳhī kā sabab pūchhā matānat se
kabhī tarjīh dī ḳhāk-e-chaman par reg-e-sahrā ko
gul-o-bulbul se haT kar bhī kabhī dekhā hai fitrat ko
gul-o-bulbul bajā lekin chaman meñ ḳhaar bhī to hai
sabāhat vaqf-e-gulshan hī nahīñ kohsār bhī to haiñ
ka.ī poshīda az fikr-o-nazar shahkār bhī to haiñ
ġhalat haiñ nāsiya-farsā.iyāñ terī talab terī
tirī rāheñ judā haiñ ahl-e-dil se ahl-e-hasrat se
tirā husn-e-nazar mahdūd hai zaatī maqāsid tak
tirī ye shapra-chashmī hī tujhe barbād kar degī
mujhe to be-sukun sa kar gaya us shoKH ka kahna
haqiqat ke taraazu mein kabhi taula hai jazbon ko
mohabbat ke taqaddus ka bharam rakkha kabhi tu ne
kabhi be-saKHta lipTa hai mahrum-e-sabahat se
kabhi haal-e-kaji puchha hai mashur-e-qabahat se
kabhi dasht-e-junun paTa hai jazbaat-e-iradat se
kabhi sarsar se talKHi ka sabab puchha matanat se
kabhi tarjih di KHak-e-chaman par reg-e-sahra ko
gul-o-bulbul se haT kar bhi kabhi dekha hai fitrat ko
gul-o-bulbul baja lekin chaman mein KHar bhi to hai
sabahat waqf-e-gulshan hi nahin kohsar bhi to hain
kai poshida az fikr-o-nazar shahkar bhi to hain
ghalat hain nasiya-farsaiyan teri talab teri
teri rahen juda hain ahl-e-dil se ahl-e-hasrat se
tera husn-e-nazar mahdud hai zati maqasid tak
teri ye shapra-chashmi hi tujhe barbaad kar degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.