zaban
mujhe
sirf nafrat kī zabān aatī hai
nafrat kā luġhat-navīs ban kar
maiñ apnī zabān bhuul chukā huuñ
mohabbat merī maañ bolī thī
magar zinda rahne ke liye
mujhe nafrat kī zabān sīkhnī paḌī
maiñ ek laḌkī ko
talāsh kar rahā huuñ
vo mujhe
mohabbat kī matrūk zabān sikhā degī
ek laḌkī
apnī maañ bolī kabhī nahīñ bhūltī
mujhe
sirf nafrat ki zaban aati hai
nafrat ka lughat-nawis ban kar
main apni zaban bhul chuka hun
mohabbat meri man boli thi
magar zinda rahne ke liye
mujhe nafrat ki zaban sikhni paDi
main ek laDki ko
talash kar raha hun
wo mujhe
mohabbat ki matruk zaban sikha degi
ek laDki
apni man boli kabhi nahin bhulti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.