zaban par zaiqa do paniyon ka hai
zabāñ par zā.iqa do pāniyoñ kā hai
samundar darmiyāñ hotā to is se pūchhte
kis samt jā.egā musāfir kal
ḳhunuk paanī ke bajre par namak kī garm lahroñ meñ
akelā jaane vaalā jis taraf bhī jā.egā tanhā nahīñ hogā
mohabbat pāniyoñ par kheltī hogī
so ye jal-makḌīyoñ kī ja.al-sāzī thī
ki sāhil se ulajh kar log lahroñ meñ utarte
aur un ko ḳhauf hotā āñsuoñ ke pāniyoñ meñ ḳhushk hone kā
maiñ in ko pāniyoñ kī nazr kartā huuñ
so ai aadhe badan kī mehrbāñ machhlī
tum apne āñsuoñ ko ḳhushk mat karnā
mohabbat pāniyoñ par kheltī hogī
aur us kā zā.iqa khul jā.egā
jis vaqt jā.egā musāfir kal
ḳhunuk paanī ke bajre par namak kī garm lahroñ meñ
zaban par zaiqa do paniyon ka hai
samundar darmiyan hota to is se puchhte
kis samt jaega musafir kal
KHunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein
akela jaane wala jis taraf bhi jaega tanha nahin hoga
mohabbat paniyon par khelti hogi
so ye jal-makDiyon ki jal-sazi thi
ki sahil se ulajh kar log lahron mein utarte
aur un ko KHauf hota aansuon ke paniyon mein KHushk hone ka
main in ko paniyon ki nazr karta hun
so ai aadhe badan ki mehrban machhli
tum apne aansuon ko KHushk mat karna
mohabbat paniyon par khelti hogi
aur us ka zaiqa khul jaega
jis waqt jaega musafir kal
KHunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.