zaban se nafrat kyun
Interesting Fact
(June 1972)
jahāñ bhī chhānūñ ghanī ho qayām karte chalo
adab jahāñ bhī mile ehtirām karte chalo
har ik zabān ko yaaro salām karte chalo
giroh kī hai na firqe kī aur na maz.hab kī
zabāñ virāsat-e-insāniyat hai ham sab kī
zabāñ ke baab meñ man aur tū kī had kaisī
koī zabān ho insāñ ko us se kad kaisī
zabān paak hai gaañv kī goriyoñ kī tarah
zabāñ aziim hai maaoñ kī loriyoñ kī tarah
zabāñ tasalsul-e-tārīḳh-e-zindagānī hai
zabān manāzil-e-tahzīb kī kahānī hai
zabān bahte hue vaqt kī ravānī hai
nazar meñ ho jo bulandī bhī aur vus.at bhī
to har zabān meñ ik husn bhī hai azmat bhī
vo raat kā hai pujārī sahar kā dushman hai
jo hai zabān kā dushman bashar kā dushman hai
zamīñ kā husn hai khetoñ kī tāzgī hai zabāñ
rahaT kī lai hai to panghaT kī rāgnī hai zabāñ
galī kā shor gharoñ kī hamāhamī hai zabāñ
junūn-e-zīst kī aahaT hai gungunāhaT hai
zabāñ hayāt ke hoñToñ kī muskurāhaT hai
fareb-o-maslahat-o-makr-o-rasmiyāt nahīñ
riyā kā zikr bayān-e-takallufāt nahīñ
zabān ahl-e-siyāsat ke bas kī baat nahīñ
zabāñ machaltī hai miTTī pe chahchahoñ kī tarah
zabāñ nikaltī hai chilman se zamzamoñ kī tarah
zabān ubaltī hai āñgan ke qahqahoñ kī tarah
zabān bantī hai chaupāl meñ javāñ kī tarah
zabān bantī hai baiThak meñ dāstāñ kī tarah
zabān Dhaltī hai bāzār meñ dukānoñ meñ
zabān chaltī hai kūchoñ meñ kār-ḳhānoñ meñ
zabāñ qadam-ba-qadam sīḌhiyoñ pe chaḌhtī hai
zabān pyaar mohabbat se aage baḌhtī hai
na daftaroñ na kahīñ filoñ meñ Dhaltī hai
zabān dhartī ke siine se lag ke chaltī hai
zabāñ laboñ kā salīqa diloñ kā nuur bhī hai
zabān qaum kī izzat bhī hai ġhurūr bhī hai
zabāñ avaam kī mehnat bhī hai shu.ūr bhī hai
kisī shu.ūr se āḳhir hameñ adāvat kyuuñ
koī zabān ho insāñ ko us se nafrat kyuuñ
zabān paak hai gaañv kī goriyoñ kī tarah
zabāñ aziim hai maaoñ kī loriyoñ kī tarah
jahan bhi chhanun ghani ho qayam karte chalo
adab jahan bhi mile ehtiram karte chalo
har ek zaban ko yaro salam karte chalo
giroh ki hai na firqe ki aur na mazhab ki
zaban wirasat-e-insaniyat hai hum sab ki
zaban ke bab mein man aur tu ki had kaisi
koi zaban ho insan ko us se kad kaisi
zaban pak hai ganw ki goriyon ki tarah
zaban azim hai maon ki loriyon ki tarah
zaban tasalsul-e-tariKH-e-zindagani hai
zaban manazil-e-tahzib ki kahani hai
zaban bahte hue waqt ki rawani hai
nazar mein ho jo bulandi bhi aur wusat bhi
to har zaban mein ek husn bhi hai azmat bhi
wo raat ka hai pujari sahar ka dushman hai
jo hai zaban ka dushman bashar ka dushman hai
zamin ka husn hai kheton ki tazgi hai zaban
rahaT ki lai hai to panghaT ki ragni hai zaban
gali ka shor gharon ki hamahami hai zaban
junun-e-zist ki aahaT hai gungunahaT hai
zaban hayat ke honTon ki muskurahaT hai
fareb-o-maslahat-o-makr-o-rasmiyat nahin
riya ka zikr bayan-e-takallufat nahin
zaban ahl-e-siyasat ke bas ki baat nahin
zaban machalti hai miTTi pe chahchahon ki tarah
zaban nikalti hai chilman se zamzamon ki tarah
zaban ubalti hai aangan ke qahqahon ki tarah
zaban banti hai chaupal mein jawan ki tarah
zaban banti hai baiThak mein dastan ki tarah
zaban Dhalti hai bazar mein dukanon mein
zaban chalti hai kuchon mein kar-KHanon mein
zaban qadam-ba-qadam siDhiyon pe chaDhti hai
zaban pyar mohabbat se aage baDhti hai
na daftaron na kahin filon mein Dhalti hai
zaban dharti ke sine se lag ke chalti hai
zaban labon ka saliqa dilon ka nur bhi hai
zaban qaum ki izzat bhi hai ghurur bhi hai
zaban awam ki mehnat bhi hai shuur bhi hai
kisi shuur se aaKHir hamein adawat kyun
koi zaban ho insan ko us se nafrat kyun
zaban pak hai ganw ki goriyon ki tarah
zaban azim hai maon ki loriyon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.