zabt ka KHarch
zabt ko soch kar ḳharch kartā huuñ maiñ
har kisī par nahīñ
har jagah par nahīñ
is liye merī āñkheñ kabhī ḳhushk hotī nahīñ
aisā lagtā hai har baat par
jaise rone ko tayyār baiThā huuñ maiñ
dostoñ se huī bad-zabānī pe bhī
dukh-bharī dūsroñ kī kahānī pe bhī
yuuñ
ki maiñ zabt ko ḳharch karnā nahīñ chāhtā
chhoTī-moTī kisī baat par
haañ magar
baḌe vāqa’e jab hue
yahāñ tak ki jab mere ghar se janāze uThe
tab kisī ne mirī aañkh meñ ek aañsū bhī dekhā nahīñ
koī ye sochtā hai agar
ki us ne mujhe apne ġham meñ rulā kar
baḌā mā'raka koī sar kar liyā hai
to pāgal hai vo
zabt ko soch kar KHarch karta hun main
har kisi par nahin
har jagah par nahin
is liye meri aankhen kabhi KHushk hoti nahin
aisa lagta hai har baat par
jaise rone ko tayyar baiTha hun main
doston se hui bad-zabani pe bhi
dukh-bhari dusron ki kahani pe bhi
yun
ki main zabt ko KHarch karna nahin chahta
chhoTi-moTi kisi baat par
han magar
baDe waqa’e jab hue
yahan tak ki jab mere ghar se janaze uThe
tab kisi ne meri aankh mein ek aansu bhi dekha nahin
koi ye sochta hai agar
ki us ne mujhe apne gham mein rula kar
baDa ma'raka koi sar kar liya hai
to pagal hai wo
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 117)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.