zaibunnisa ek nazm tumhaare liye bhi
kyā ajab shaam hai! dekho zaibunñisā
fursatoñ meñ kisī peḌ kī narm chhāñv meñ sochī huī
ābshāroñ se girte hue pāniyoñ meñ nahā.ī huī
tere malbūs kī ḳhushbuoñ ko uḌātī huī
kyā ajab shaam hai
tere shānoñ pe āñchal Thahartā nahīñ
aur tū ne havā ko bahāna kiyā
kitnī chālāk ho
chaa.e meñ apnī poroñ kī shīrīniyāñ ghol kar pūchhtī ho
ki chīnī ke kitne chammach lījiyegā
samajh ye rahī ho
ki ham tere sāñsoñ kī aur terī dhaḌkan kī raftār ko jānte hī nahīñ haiñ
sunahrī fazā ko hañsātī huī saada laḌkī
tujhe kyā ḳhabar hai
ajab zā.iqa ban gayā hai luāb-e-dahan
chhū ke dekhā nahīñ aur azbar kiyā terā saarā badan
tere tan se lipaTtī chalī jā rahī hai mirī har nazar
kis tarah se chhupā.egā terā badan
ye terā pairāhan
kya ajab sham hai! dekho zaibunnisa
fursaton mein kisi peD ki narm chhanw mein sochi hui
aabshaaron se girte hue paniyon mein nahai hui
tere malbus ki KHushbuon ko uDati hui
kya ajab sham hai
tere shanon pe aanchal Thaharta nahin
aur tu ne hawa ko bahana kiya
kitni chaalak ho
chae mein apni poron ki shiriniyan ghol kar puchhti ho
ki chini ke kitne chammach lijiyega
samajh ye rahi ho
ki hum tere sanson ki aur teri dhaDkan ki raftar ko jaante hi nahin hain
sunahri faza ko hansati hui sada laDki
tujhe kya KHabar hai
ajab zaiqa ban gaya hai luab-e-dahan
chhu ke dekha nahin aur azbar kiya tera sara badan
tere tan se lipaTti chali ja rahi hai meri har nazar
kis tarah se chhupaega tera badan
ye tera pairahan
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 131)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.