zaitun ki TuTi shaKH
in merī javāñ
uñgliyoñ se raste jaate haiñ
mire būḌhe lambe saal
maiñ tanhā.ī kī
ThanDī sil par baiThā huuñ
aur rotā huuñ
maiñ azal abad kā andhā musāfir
chaltā huuñ
maiñ apne qadmoñ se niklūñ
mujhe rasta do
sab chehre mere apne haiñ
go kaale haiñ
sāyoñ ke ta.āqub meñ
mire paañv meñ chhāle haiñ
is hashr-ba-dāmāñ duniyā meñ
mujhe shaktī do
in meri jawan
ungliyon se raste jate hain
mere buDhe lambe sal
main tanhai ki
ThanDi sil par baiTha hun
aur rota hun
main azal abad ka andha musafir
chalta hun
main apne qadmon se niklun
mujhe rasta do
sab chehre mere apne hain
go kale hain
sayon ke taaqub mein
mere panw mein chhaale hain
is hashr-ba-daman duniya mein
mujhe shakti do
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 490)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.