zaKHm-e-tamanna
ek phuul kā chaman meñ talabgār maiñ huā
vo phuul khil rahā thā sar-e-shāḳh aarzū
vo phuul sad-hazār gulistāñ meñ intiḳhāb
vo phuul dilkashī kī kahānī kā shoḳh baab
doshīzgī kā ḳhvāb bahāroñ kī āb-o-tāb
har pañkhuḌī nazākat-o-nuz.hat liye hue
vo gul thā itr-dān-e-mohabbat liye hue
jazbāt kī tapish se machalne lagā thā maiñ
garmī-e-ārzū se pighalne lagā thā meñ
resham kā jism rakhte hue ḳhaar ban gayā
vo phuul merī jaan kā āzār ban gayā
ik roz mere saath huā vāqi.a ajab
betāb ho ke dast-e-talab jab kiyā darāz
hāsil jo sāmne thā bahut dil-ḳharāsh thā
mānūs uñgliyāñ jo huiiñ nok-e-ḳhār se
ek ek qatra
un se Tapakne lagā lahū
vo Tiis thī ki
mujh ko
ḳhudā yaad aa gayā
ek phul ka chaman mein talabgar main hua
wo phul khil raha tha sar-e-shaKH aarzu
wo phul sad-hazar gulistan mein intiKHab
wo phul dilkashi ki kahani ka shoKH bab
doshizgi ka KHwab bahaaron ki aab-o-tab
har pankhuDi nazakat-o-nuzhat liye hue
wo gul tha itr-dan-e-mohabbat liye hue
jazbaat ki tapish se machalne laga tha main
garmi-e-arzu se pighalne laga tha mein
resham ka jism rakhte hue KHar ban gaya
wo phul meri jaan ka aazar ban gaya
ek roz mere sath hua waqia ajab
betab ho ke dast-e-talab jab kiya daraaz
hasil jo samne tha bahut dil-KHarash tha
manus ungliyan jo huin nok-e-KHar se
ek ek qatra
un se Tapakne laga lahu
wo Tis thi ki
mujh ko
KHuda yaad aa gaya
- Book : Intekhab-e-Kalam Hazin (Pg. 39)
- Author : Author Junaid Hazin Lari,Compiled by Razzaq Afsar
- Publication : Bazm-e-Urdu, Mysore (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.