zaKHmi KHwabon ki tisri duniya
sadar-e-mumlikat ne
apnī daulat ko zarb lagā.ī
aur parā-e-mulk meñ ek qabr kirā.e par le lī
tā-ki us kī laash mahfūz rahe
raushnī ne duniyā kā safar kiyā
magar kisī adālat meñ insāf na milā
ki andhe tarāzū ne to kabhī āñkheñ hī nahīñ kholīñ
dīvāreñ tamām raat jāgtī rahīñ
sāmān paḌā rahā
lekin gharoñ se laḌkiyāñ churā lī ga.iiñ
ek jism ko ka.ī jismoñ ne chhuā
to bichārī rūhoñ ne apne chehroñ par qai kī
laḌkī maañ to banī biyāhī na ga.ī
us ne āñsuoñ se ġhusl kiyā
magar paak na huī
hameñ duniyā meñ hī dozaḳh milī
kyūñki ham us laḌkī ke ghar paidā hue
jis kā baap faaqe se mar gayā
aur maañ beva-ḳhvāboñ kī ghuTan se
us raat chāñd ko qatl kar diyā gayā
aur ham bhā.iyoñ ne
vīrān saḌak par ḳhud-kushī kar lī
sadar-e-mumlikat ne
apni daulat ko zarb lagai
aur para-e-mulk mein ek qabr kirae par le li
ta-ki us ki lash mahfuz rahe
raushni ne duniya ka safar kiya
magar kisi adalat mein insaf na mila
ki andhe taraazu ne to kabhi aankhen hi nahin kholin
diwaren tamam raat jagti rahin
saman paDa raha
lekin gharon se laDkiyan chura li gain
ek jism ko kai jismon ne chhua
to bichaari ruhon ne apne chehron par qai ki
laDki man to bani biyahi na gai
us ne aansuon se ghusl kiya
magar pak na hui
hamein duniya mein hi dozaKH mili
kyunki hum us laDki ke ghar paida hue
jis ka bap faqe se mar gaya
aur man bewa-KHwabon ki ghuTan se
us raat chand ko qatl kar diya gaya
aur hum bhaiyon ne
viran saDak par KHud-kushi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.