zaKHmi saDak
mirī āñkheñ
aTī haiñ gard se phir bhī
maiñ sab kuchh dekh saktī huuñ
zamīñ par
gaañv ne
jab ruup dhārā
shahr kā
tab se
sahar kī aañkh khulte hī
use phir niiñd aane tak
hazāroñ naqsh-e-pā bante bigaḌte haiñ
ka.ī mānūs haiñ in meñ
ka.ī haiñ ajnabī lekin
sabhī ye chāhte haiñ
yaad rah jaa.eñ zamāne ko
sahar kī aañkh khulte hī
use phir niiñd aane tak
na jaane kitne rikshe cycleñ motor
mujhe yuuñ rauñd kar
aage baḌhte haiñ
ki jaise maiñ ne apnā jism
un ko bech Daalā hai
maiñ rāhoñ kā
muqaddar huuñ
sitam dekho
mire siine pe phoḌe phunsiyāñ ab bhī
gaḌhoñ kī shakl meñ
phailī huī haiñ
meri aankhen
aTi hain gard se phir bhi
main sab kuchh dekh sakti hun
zamin par
ganw ne
jab rup dhaara
shahr ka
tab se
sahar ki aankh khulte hi
use phir nind aane tak
hazaron naqsh-e-pa bante bigaDte hain
kai manus hain in mein
kai hain ajnabi lekin
sabhi ye chahte hain
yaad rah jaen zamane ko
sahar ki aankh khulte hi
use phir nind aane tak
na jaane kitne rikshe cyclen motor
mujhe yun raund kar
aage baDhte hain
ki jaise main ne apna jism
un ko bech Dala hai
main rahon ka
muqaddar hun
sitam dekho
mere sine pe phoDe phunsiyan ab bhi
gaDhon ki shakl mein
phaili hui hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.