zaKHmi ungliyon se ek nazm
vo laḌkī kisī aur bastī kī
rahne vaalī thī jo patthar pe
phuul ugāne kī ḳhvāhish meñ
uñgliyāñ zaḳhmī kar baiThī
sunā hai us kī bastī meñ
phuul aur mohabbat jīvan kā lāzmī hissa the
vahāñ lafzoñ meñ phuul khilte the
aur āñkhoñ se mohabbat kī kirneñ
phūTtī thiiñ
jo koī us bastī meñ aatā
chand achchhe lafzoñ ke badle
Dheroñ mohabbat le jaatā
ek din us bastī meñ ik jādū-gar aayā
aur us ne aisā mantar phūñkā ki saarī bastī patthar ho ga.ī
laḌkī jo kahīñ bāhar ga.ī thī vāpas aa.ī to
us kī duniyā badal chukī thī
us din se vo laḌkī
jahāñ kahīñ bhī patthar dekhtī hai
unheñ phuul banāne kī koshish meñ
zaḳhmī ho jaatī hai
wo laDki kisi aur basti ki
rahne wali thi jo patthar pe
phul ugane ki KHwahish mein
ungliyan zaKHmi kar baiThi
suna hai us ki basti mein
phul aur mohabbat jiwan ka lazmi hissa the
wahan lafzon mein phul khilte the
aur aankhon se mohabbat ki kirnen
phuTti thin
jo koi us basti mein aata
chand achchhe lafzon ke badle
Dheron mohabbat le jata
ek din us basti mein ek jadu-gar aaya
aur us ne aisa mantar phunka ki sari basti patthar ho gai
laDki jo kahin bahar gai thi wapas aai to
us ki duniya badal chuki thi
us din se wo laDki
jahan kahin bhi patthar dekhti hai
unhen phul banane ki koshish mein
zaKHmi ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.