zalzala
jis se vābasta the ka.ī armān
sochtā huuñ miTā diyā kis ne
sochtā huuñ ki chand lamhoñ meñ
saarā gulshan jalā diyā kis ne
chand lamhoñ meñ ho ga.ī barbād
ko.enā kī hasīn ābādī
jaane merī sitam-zada āñkheñ us sisakte hue ḳharābe meñ
der se kyā talāsh kartī haiñ
muskurāhaT javān chehroñ kī
ābgīna hasīn ḳhvāboñ kā
chūḌiyāñ narm narm hāthoñ kī
chāñdnī surḳh surḳh māthoñ kī
us ḳharābe meñ kuchh nahīñ miltā
us tarah se zamīñ ne karvaT lī
ho ga.ī hai uthal-puthal dhartī
jal ga.e sab bahār ke sapne
sirf sapnoñ kī raakh baaqī hai
aaj mazdūr apnī kuTiyā meñ
ḳhaak ke bistare pe sotā hai
dekhtā hai mahal kī vīrānī
aur sarmāya-dār rotā hai
ye tabāhī ye ḳhāna-bardārī
haa.e kyā dil-gudāz manzar hai
jhoñpaḌī ho ki āsmān mahal
maut ke sāmne barābar hai
jis se wabasta the kai arman
sochta hun miTa diya kis ne
sochta hun ki chand lamhon mein
sara gulshan jala diya kis ne
chand lamhon mein ho gai barbaad
koena ki hasin aabaadi
jaane meri sitam-zada aankhen us sisakte hue KHarabe mein
der se kya talash karti hain
muskurahaT jawan chehron ki
aabgina hasin KHwabon ka
chuDiyan narm narm hathon ki
chandni surKH surKH mathon ki
us KHarabe mein kuchh nahin milta
us tarah se zamin ne karwaT li
ho gai hai uthal-puthal dharti
jal gae sab bahaar ke sapne
sirf sapnon ki rakh baqi hai
aaj mazdur apni kuTiya mein
KHak ke bistare pe sota hai
dekhta hai mahal ki virani
aur sarmaya-dar rota hai
ye tabahi ye KHana-bardari
hae kya dil-gudaz manzar hai
jhonpaDi ho ki aasman mahal
maut ke samne barabar hai
- Book : Dard aashna (Pg. 67)
- Author : Abdullah Sajid
- Publication : Abdullah Sajid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.