zamana chaal chal jae
kabhī aisā bhī hotā hai
ki barsoñ ba.ad
banjar is zamīn-e-dil meñ
koñpal sar uThātī hai
kalī khiltī hai
titlī raqs kartī
gungunātī hai
kiran ik jagmagātī hai
havā-e-ḳhush-gumānī kā
farhat-añgez jhoñkā
mujh se sargoshī meñ kahtā hai
tumheñ us se mohabbat hai
use tum se mohabbat hai
na tum iz.hār karte ho
na vo iqrār kartī hai
ye sach hai
phir bhī tum donoñ hī apnī zaat se inkār karte
kahī har baat se inkār karte ho
zarā apne diloñ se pūchh kar dekho
kahīñ aisā na ho ye vaqt hāthoñ se nikal jaa.e
zamāna chaal chal jaa.e
kabhi aisa bhi hota hai
ki barson baad
banjar is zamin-e-dil mein
konpal sar uThati hai
kali khilti hai
titli raqs karti
gungunati hai
kiran ek jagmagati hai
hawa-e-KHush-gumani ka
farhat-angez jhonka
mujh se sargoshi mein kahta hai
tumhein us se mohabbat hai
use tum se mohabbat hai
na tum izhaar karte ho
na wo iqrar karti hai
ye sach hai
phir bhi tum donon hi apni zat se inkar karte
kahi har baat se inkar karte ho
zara apne dilon se puchh kar dekho
kahin aisa na ho ye waqt hathon se nikal jae
zamana chaal chal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.