zamana
jalātā diye vaqt kī mahfiloñ meñ
jabīnoñ pe rultā samātā diloñ meñ
jagātā na.ī dhaḌkaneñ qāfiloñ meñ
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
guzishta ko ḳhvāb-e-farāmosh kartā
har imroz ko shāmil-e-dosh kartā
fusūñ-zār-e-daurāñ ko gul-posh kartā
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
baserā taġhayyur kī bāñhoñ meñ letā
talavvun kī amvāj par naav khetā
ik ik pal pe fardā ko āvāz detā
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
qadam māh-o-ḳhāvar ke zīnoñ pe dhartā
havādis kī gahrā.iyoñ meñ utartā
mah-o-sāl kī naddiyāñ paar kartā
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
ulajhtā haqā.eq ke mehr-o-ġhazab se
ubhartā bahār-o-ḳhizāñ ke aqab se
nikaltā huā halqa-e-roz-o-shab se
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
rivāyāt ke zehn-o-paikar badaltā
jahāñ-dār qadroñ ke tevar badaltā
masā.il ke asnām-o-āzar badaltā
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
batātā ki muḌtī hai tārīḳh kī rau
ye kahtā ki ūñchī huī sham.a kī lau
fazā tā ḳhalā Dāltā apnā partav
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
sunātā kisī kohkan kā fasāna
banātā kisī sohnī ko nishāna
sañbhāle hue dard kā tāziyāna
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
kisī saaz se kheltā raag jaise
bhaḌaktā is andāz se aag jaise
koī choT khāyā huā naag jaise
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
churā.e nazar kaj-adāoñ kī sūrat
liye barq-e-pinhāñ ghaTāoñ kī sūrat
bagūle sameTe havāoñ kī sūrat
zamāna guzartā chalā jā rahā hai
jalata diye waqt ki mahfilon mein
jabinon pe rulta samata dilon mein
jagata nai dhaDkanen qafilon mein
zamana guzarta chala ja raha hai
guzishta ko KHwab-e-faramosh karta
har imroz ko shamil-e-dosh karta
fusun-zar-e-dauran ko gul-posh karta
zamana guzarta chala ja raha hai
basera taghayyur ki banhon mein leta
talawwun ki amwaj par naw kheta
ek ek pal pe farda ko aawaz deta
zamana guzarta chala ja raha hai
qadam mah-o-KHawar ke zinon pe dharta
hawadis ki gahraiyon mein utarta
mah-o-sal ki naddiyan par karta
zamana guzarta chala ja raha hai
ulajhta haqaeq ke mehr-o-ghazab se
ubharta bahaar-o-KHizan ke aqab se
nikalta hua halqa-e-roz-o-shab se
zamana guzarta chala ja raha hai
riwayat ke zehn-o-paikar badalta
jahan-dar qadron ke tewar badalta
masail ke asnam-o-azar badalta
zamana guzarta chala ja raha hai
batata ki muDti hai tariKH ki rau
ye kahta ki unchi hui shama ki lau
faza ta KHala Dalta apna partaw
zamana guzarta chala ja raha hai
sunata kisi kohkan ka fasana
banata kisi sohni ko nishana
sanbhaale hue dard ka taziyana
zamana guzarta chala ja raha hai
kisi saz se khelta rag jaise
bhaDakta is andaz se aag jaise
koi choT khaya hua nag jaise
zamana guzarta chala ja raha hai
churae nazar kaj-adaon ki surat
liye barq-e-pinhan ghaTaon ki surat
bagule sameTe hawaon ki surat
zamana guzarta chala ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.