zamin apne beTon ko pahchanti hai
zamīn ek muddat se
haft-āsmāñ kī taraf sar uThā.e hue
ro rahī hai
zamīn apne aañsū
bahut apnī hī kokh meñ bo rahī hai
zamīñ dil-kushāda hai kitnī
falak ke utāre hue bojh bhī Dho rahī hai
fazā par bahut dhund chhā.ī huī hai
javāñ gul-badan shāhazāde
zamīñ ke dulāre
ujaḌtī huī bazm ke chāñd taare
kaTī gardanoñ goliyoñ se chhide jism kī
rut sajā.e lahū meñ nahā.e
zamīñ kī taraf aa rahe haiñ
zamīñ ek muddat se
is kār-o-bār-e-sitam meñ ghirī hai
zamīn ro rahī hai
magar us ke aañsū kī tahrīr
raushan hai itnī
ki ā.inda mausam isī zinda tahrīr se
jagmagāte raheñge
agar is ke shahzāde
yūñhī lahū meñ nahāte raheñge
to ik roz tārīḳh
un ke liye hashr barpā karegī
zamin ek muddat se
haft-asman ki taraf sar uThae hue
ro rahi hai
zamin apne aansu
bahut apni hi kokh mein bo rahi hai
zamin dil-kushada hai kitni
falak ke utare hue bojh bhi Dho rahi hai
faza par bahut dhund chhai hui hai
jawan gul-badan shahazade
zamin ke dulare
ujaDti hui bazm ke chand tare
kaTi gardanon goliyon se chhide jism ki
rut sajae lahu mein nahae
zamin ki taraf aa rahe hain
zamin ek muddat se
is kar-o-bar-e-sitam mein ghiri hai
zamin ro rahi hai
magar us ke aansu ki tahrir
raushan hai itni
ki aainda mausam isi zinda tahrir se
jagmagate rahenge
agar is ke shahzade
yunhi lahu mein nahate rahenge
to ek roz tariKH
un ke liye hashr barpa karegi
- Book : dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.