zamin aur panw
jab guzar jaa.e ek ḳhvāb
aur rah jaa.e ek talchhaT
peT bhartā hai
jab daraḳhtoñ par roTī nahīñ ugtī
dhuul aur dhuup
ḳhālī karte haiñ jism
rah jaatī hai
ek saañs
jo milātī hai paañv zamīn se
jab guzar jaa.e
ek din
aur rah jaa.e ek raat
be-maza aur kasīlī
baaqī kuchh nahīñ rahtā
sirf zamīn aur paañv
mez par rakhe haath
jab guzar jae ek KHwab
aur rah jae ek talchhaT
peT bharta hai
jab daraKHton par roTi nahin ugti
dhul aur dhup
KHali karte hain jism
rah jati hai
ek sans
jo milati hai panw zamin se
jab guzar jae
ek din
aur rah jae ek raat
be-maza aur kasili
baqi kuchh nahin rahta
sirf zamin aur panw
mez par rakhe hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.