zamin ek nazm hai
āsmāñ Thahrā huā niilā samundar
aur zamīñ sūkhā huā dariyā
pahāḌoñ par december aa chukā hai
nīlgūñ gahrā december
naddiyāñ barfoñ kī chāñdī meñ chhupī haiñ
munsifoñ jaise muazziz ye pahāḌ aur un ke ham-sāya shajar
mar.ūb karte haiñ
dehātī rāstoñ ke phuul kahte haiñ
hameñ gaao
nashebī bastiyoñ kī ghaas kahtī hai
hameñ likkho
phaTe kapḌoñ meñ muḳhlis laḌkiyāñ kahtī haiñ
ham bhī lafz haiñ
ham bhī sadā kā zā.iqa haiñ
āsmāñ Thahrā huā niilā samundar
duudh piitā memna lafz hai
saarī zamīñ phailī huī ik nazm hai
aur maiñ kabhī bārish
kabhī sūkhā huā dariyā
kabhī āvāz muḳhlis laḌkiyoñ kī
aasman Thahra hua nila samundar
aur zamin sukha hua dariya
pahaDon par december aa chuka hai
nilgun gahra december
naddiyan barfon ki chandi mein chhupi hain
munsifon jaise muazziz ye pahaD aur un ke ham-saya shajar
marub karte hain
dehati raston ke phul kahte hain
hamein gao
nashebi bastiyon ki ghas kahti hai
hamein likkho
phaTe kapDon mein muKHlis laDkiyan kahti hain
hum bhi lafz hain
hum bhi sada ka zaiqa hain
aasman Thahra hua nila samundar
dudh pita memna lafz hai
sari zamin phaili hui ek nazm hai
aur main kabhi barish
kabhi sukha hua dariya
kabhi aawaz muKHlis laDkiyon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.