zamin ka qarz
Interesting Fact
In memory of Khalil-ur-Rehman Azmi
zamīñ kā qarz hai ham sab ke dosh-o-gardan par
ajiib qarz hai ye qarz-e-be-talab kī tarah
hamīñ haiñ sabza-e-ḳhud-rau hamīñ haiñ naqsh-e-qadam
ki zindagī hai yahāñ maut ke sabab kī tarah
har ek chiiz numāyāñ har ek shai pinhāñ
ki niim roz kā manzar hai niim shab kī tarah
tamāsha-gāh-e-jahāñ ibrat-e-nazāra hai
ziyāñ-ba-dast rifāqat ke kārobār mire
utartī jaatī hai bām-o-dar-e-hayāt se dhuup
bichhaḌte jaate haiñ ek ek kar ke yaar mire
maiñ dafn hotā chalā huuñ har ek dost ke saath
ki shahr shahr haiñ bikhre hue mazār mire
zamin ka qarz hai hum sab ke dosh-o-gardan par
ajib qarz hai ye qarz-e-be-talab ki tarah
hamin hain sabza-e-KHud-rau hamin hain naqsh-e-qadam
ki zindagi hai yahan maut ke sabab ki tarah
har ek chiz numayan har ek shai pinhan
ki nim roz ka manzar hai nim shab ki tarah
tamasha-gah-e-jahan ibrat-e-nazara hai
ziyan-ba-dast rifaqat ke karobar mere
utarti jati hai baam-o-dar-e-hayat se dhup
bichhaDte jate hain ek ek kar ke yar mere
main dafn hota chala hun har ek dost ke sath
ki shahr shahr hain bikhre hue mazar mere
- Book : siip (Magzin) (Pg. 158)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.