zamin ka ye TukDa
Interesting Fact
(Tahreek, Delhi)
zamīñ kā ye TukḌā
mire baḌhte qadmoñ ko chāroñ dishāoñ se apnī taraf khīñchtā hai
gale se lagā kar mujhe bhīñchtā hai
ki bārah baras se yahāñ dafn huuñ meñ
zamīñ kā ye TukḌā
mire dīda-o-dil kī manzil mirī zindagī hai
ki zarroñ meñ is ke ajab dilkashī hai
magar maiñ to is se gurezāñ rahā huuñ gurezāñ huuñ ab bhī
kahāñ sāmnā kar sakūñgā maiñ is kā ki us toda-e-ḳhāk ke rū-ba-rū meñ
pashemāñ thā kal bhī pashemāñ huuñ ab bhī
pashemāniyāñ mere shām-o-sahar kā muqaddar
pashemāniyoñ se mire roz-o-shab kī fazā.eñ mukaddar
zamīñ kā ye TukḌā
dikhātā hai mujh ko mirī bebasī kā vo ā.īna jis meñ
abhī tak vo ik sā.at-e-munfa.il mun.akis hai
ki jab vo mujhe yā use qatl karne ko le jā rahe the
vo hī jo yahāñ ḳhaak kī chādar oḌhe hue chup paḌā hai
jo merā hī ik paikar-e-ḳhūñ-shuda hai
to jab vo use yā mujhe qatl karne ko le jā rahe the
to be-dast-o-pā ik tamāshā.ī kī tarah maiñ un kā muñh tak rahā thā
samajh meñ na aa.e agar ab maiñ sochūñ mujhe kyā huā thā
mirī bebasī thī kisī lamha-e-be-basīrat kī sāzish
ki us meñ koī maslahat us kī thī dīd-o-dānish meñ qad jis kā sab se baḌā hai
jo har ahd-e-ā.inda-o-raftā ke ilm-o-illat kī had hai
azal se abad hai
zamīñ kā ye TukḌā
jahāñ aa ke maiñ ḳhud ko būḌhā sā mahsūs karne lagā huuñ
ḳhud andar hī andar bikharne lagā huuñ
mirī har tag-o-dau kā hāsil hai had hai
azal hai abad hai
zamīñ kā ye TukḌā
zamin ka ye TukDa
mere baDhte qadmon ko chaaron dishaon se apni taraf khinchta hai
gale se laga kar mujhe bhinchta hai
ki barah baras se yahan dafn hun mein
zamin ka ye TukDa
mere dida-o-dil ki manzil meri zindagi hai
ki zarron mein is ke ajab dilkashi hai
magar main to is se gurezan raha hun gurezan hun ab bhi
kahan samna kar sakunga main is ka ki us toda-e-KHak ke ru-ba-ru mein
pasheman tha kal bhi pasheman hun ab bhi
pashemaniyan mere sham-o-sahar ka muqaddar
pashemaniyon se mere roz-o-shab ki fazaen mukaddar
zamin ka ye TukDa
dikhata hai mujh ko meri bebasi ka wo aaina jis mein
abhi tak wo ek saat-e-munfail munakis hai
ki jab wo mujhe ya use qatl karne ko le ja rahe the
wo hi jo yahan KHak ki chadar oDhe hue chup paDa hai
jo mera hi ek paikar-e-KHun-shuda hai
to jab wo use ya mujhe qatl karne ko le ja rahe the
to be-dast-o-pa ek tamashai ki tarah main un ka munh tak raha tha
samajh mein na aae agar ab main sochun mujhe kya hua tha
meri bebasi thi kisi lamha-e-be-basirat ki sazish
ki us mein koi maslahat us ki thi did-o-danish mein qad jis ka sab se baDa hai
jo har ahd-e-ainda-o-rafta ke ilm-o-illat ki had hai
azal se abad hai
zamin ka ye TukDa
jahan aa ke main KHud ko buDha sa mahsus karne laga hun
KHud andar hi andar bikharne laga hun
meri har tag-o-dau ka hasil hai had hai
azal hai abad hai
zamin ka ye TukDa
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 18)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.