zamīñ kī raat kī hai hukmarānī
usī kā elchī sūraj hai
aao!
bujhī jo raushnī detī haiñ vo sham.eñ jalāo
usī ke ye ḳhizāñ-dīda chaman haiñ
damakte āñsuoñ ke biich bo kar
zamīn-e-ḳhvāb se apnā koī gulshan ugaao
usī ke haiñ ye chashme talḳh saare
azal kī tishnagī ko saath le kar
sar-e-sahrā khaḌe ho kar sarāboñ ko bulāo
zamin ki raat ki hai hukmarani
usi ka elchi suraj hai
aao!
bujhi jo raushni deti hain wo shamen jalao
usi ke ye KHizan-dida chaman hain
damakte aansuon ke bich bo kar
zamin-e-KHwab se apna koi gulshan ugao
usi ke hain ye chashme talKH sare
azal ki tishnagi ko sath le kar
sar-e-sahra khaDe ho kar sarabon ko bulao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.