zamin par aaKHiri lamhe
añdhere dauḌte haiñ raat kī vīrān āñkhoñ meñ
charāġhoñ kī jaḌoñ se raushnī kā ḳhuun ristā hai
samundar kashtiyoñ meñ
chhed kartī machhliyoñ se bhar ga.e āḳhir
musāfir manziloñ kī ḳhvāhishoñ se Dar ga.e āḳhir
sadā is qaid-gah se
bhaag jaane kī kaḌī koshish meñ zaḳhmī hai
zamīñ fālij-zada hoñToñ kī jumbish se
Thahar jaane ko shāyad kah rahī hai
havā kī saañs Thokar khā rahī hai
andhere dauDte hain raat ki viran aankhon mein
charaghon ki jaDon se raushni ka KHun rista hai
samundar kashtiyon mein
chhed karti machhliyon se bhar gae aaKHir
musafir manzilon ki KHwahishon se Dar gae aaKHir
sada is qaid-gah se
bhag jaane ki kaDi koshish mein zaKHmi hai
zamin falij-zada honTon ki jumbish se
Thahar jaane ko shayad kah rahi hai
hawa ki sans Thokar kha rahi hai
- Book : Kisi Hairan Saat Mein (Pg. 45)
- Author : Faisal Hashmi
- Publication : Kaghadhi Paerahen (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.