zamin se ishq
ai zamīñ
nāznīñ māh-jabīñ
ai marī gulfām parī
terā husn-o-shabāb kyā kahnā
jism terā hai jaise tāj-mahal
terā chehrā shafaq kī laalī hai
terī āñkheñ haiñ chāñd aur sūraj
tere abrū haiñ misl-e-qaus-o-quzah
shāḳh-e-sandal haiñ marmarīñ bāheñ
tere dandāñ damakte motī haiñ
terī peshānī pe damaktā huā
kāhkashāñ kā jhūmar
lab haiñ tere gulāb kī pattī
naġhma-e-ābshār terī sadā
terā lahrātā huā āñchal haiñ
āsmāñ par ye tere bādal
aur terī chaal
jaise lahrā.e nadī bal khaa.e
ai zamīñ
jab talak na maut aa.e
kyoñ na maiñ TuuT kar tujhe chāhūñ
ai zamin
naznin mah-jabin
ai mari gulfam pari
tera husn-o-shabab kya kahna
jism tera hai jaise taj-mahal
tera chehra shafaq ki lali hai
teri aankhen hain chand aur suraj
tere abru hain misl-e-qaus-o-quzah
shaKH-e-sandal hain marmarin bahen
tere dandan damakte moti hain
teri peshani pe damakta hua
kahkashan ka jhumar
lab hain tere gulab ki patti
naghma-e-abshaar teri sada
tera lahraata hua aanchal hain
aasman par ye tere baadal
aur teri chaal
jaise lahrae nadi bal khae
ai zamin
jab talak na maut aae
kyon na main TuT kar tujhe chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.