zamin simaT kar mere talwe se aa lagi
ai tiin chehroñ meñ
raushan peshānī vaale
terā naqsh
pā.edār aur qadīm hai
tū ne safed baizavī zindāñ se
bāhar paañv rakhā
to zamīn tere istiqbāl ke liye
maujūd na thī
tū ne narm lahje meñ
nāpaid samtoñ ko āvāz dī
aur apne chāroñ aur phailne lagā
tū ne kañval kī pattiyoñ se
bichhaunā taḳhlīq kiyā
aur apnī zindagī kā avvalīn ḳhvāb dekhne lagā
ek aziim duniyā kī taḳhlīq kā ḳhvāb
tū ne havāoñ ko kaat kar
āsmānoñ kī chādar banā.ī
aur khaulte samundaroñ kī gahrā.ī se
zamīn ko bāhar nikāl laayā
tū ne chuTkī-bhar raunaq
zamīn ke chehre pe mil dī
tū ne mere liye
surma.ī rañg kā ghoḌā taḳhlīq kiyā
aur apne liye
safed bataḳh
zamīn
simaT kar mere talve se aa lagī
to samundaroñ kī siyāhat par
ravāna ho gayā
ai aziim baap
tere tīrath ke muqaddas pāniyoñ meñ
taaza jismoñ ke gulāb mahakte haiñ
tū ne apne Dhaak ke sabz pattoñ se
zamīn ke liye saaya banāyā
aur tanhā.ī kā sikka
samundar meñ bahā diyā
tū ne apne liye sarasvatī taḳhlīq kī
aur us ke pahlū se lipaT kar
duniyā kī mismārī kā ḳhvāb dekhne lagā
ai tin chehron mein
raushan peshani wale
tera naqsh
paedar aur qadim hai
tu ne safed baizawi zindan se
bahar panw rakha
to zamin tere istiqbaal ke liye
maujud na thi
tu ne narm lahje mein
napaid samton ko aawaz di
aur apne chaaron aur phailne laga
tu ne kanwal ki pattiyon se
bichhauna taKHliq kiya
aur apni zindagi ka awwalin KHwab dekhne laga
ek azim duniya ki taKHliq ka KHwab
tu ne hawaon ko kat kar
aasmanon ki chadar banai
aur khaulte samundaron ki gahrai se
zamin ko bahar nikal laya
tu ne chuTki-bhar raunaq
zamin ke chehre pe mil di
tu ne mere liye
surmai rang ka ghoDa taKHliq kiya
aur apne liye
safed bataKH
zamin
simaT kar mere talwe se aa lagi
to samundaron ki siyahat par
rawana ho gaya
ai azim bap
tere tirath ke muqaddas paniyon mein
taza jismon ke gulab mahakte hain
tu ne apne Dhak ke sabz patton se
zamin ke liye saya banaya
aur tanhai ka sikka
samundar mein baha diya
tu ne apne liye saraswati taKHliq ki
aur us ke pahlu se lipaT kar
duniya ki mismari ka KHwab dekhne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.