zamin tham gai hai
badan meñ na pahlī sī hiddat
na dhaḌkan hai dil meñ
jiye jaane kī ek be-sharm aadat
idhar kuchh dinoñ se
nigāhoñ meñ apnī subuk kar rahī hai
hazāroñ bakheḌoñ meñ bhī jaane kab
be-satr aa khaḌī hotī hai ye haqīqat
to kyā maiñ bhī un an-ginat logoñ meñ huuñ
jinheñ zindagī ik sazā hai
koī bad-duā hai
magar jī rahe haiñ
abhī kuchh dhuāñ sā nazar aa rahā hai
zarā dhoñknī se havā de ke dekheñ
burā kyā hai chiñgārī do ek nikle
bhabhak uTTheñ phir
sard paḌte añgāre
badan mein na pahli si hiddat
na dhaDkan hai dil mein
jiye jaane ki ek be-sharm aadat
idhar kuchh dinon se
nigahon mein apni subuk kar rahi hai
hazaron bakheDon mein bhi jaane kab
be-satr aa khaDi hoti hai ye haqiqat
to kya main bhi un an-ginat logon mein hun
jinhen zindagi ek saza hai
koi bad-dua hai
magar ji rahe hain
abhi kuchh dhuan sa nazar aa raha hai
zara dhonkni se hawa de ke dekhen
bura kya hai chingari do ek nikle
bhabhak uTThen phir
sard paDte angare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.