zamin-zadiyan
phuvār sī baras rahī ghaTā kī narmiyoñ tale
fusūñ-tarāzi-e-fazā ke sur meñ sur milā ke gā rahī
zamīn-zādiyāñ
numū kī aañch meñ nahā.ī
narm giilī miTTiyoñ meñ
dhaan ke charāġh roptī huī
sunā rahī haiñ fasl-e-nau-bahār kī bashārateñ
daraḳht vajd meñ haiñ yuuñ
ki jaise jhūmte hue
sharāb-e-arġhavāñ ke said-mast
zamīn-zādiyāñ
sanā-o-hamd kī namī se lab bhigo bhigo
nahūsat-o-nigāh-e-bad
hasad kī aag se
tahaffuz-o-amān-o-ḳhair kī duā.eñ māñgtī huī
sunā rahī haiñ giit
ki koī muzhda-e-ḳhushā
bahār-e-ḳhush-gulu-kār raag chheḌtī huī
zamīn-zādiyāñ sunā rahī haiñ giit
samā.ateñ khulī rakho
sunahrī bāliyoñ meñ jab
farāz-e-lams-e-nāznīñ se lau-pazīr
mahakte daane baj uTheñ
to sun sako
zamīn-zādiyāñ sunā rahī haiñ giit
phuwar si baras rahi ghaTa ki narmiyon tale
fusun-taraazi-e-faza ke sur mein sur mila ke ga rahi
zamin-zadiyan
numu ki aanch mein nahai
narm gili miTTiyon mein
dhan ke charagh ropti hui
suna rahi hain fasl-e-nau-bahaar ki bashaaraten
daraKHt wajd mein hain yun
ki jaise jhumte hue
sharab-e-arghawan ke said-mast
zamin-zadiyan
sana-o-hamd ki nami se lab bhigo bhigo
nahusat-o-nigah-e-bad
hasad ki aag se
tahaffuz-o-aman-o-KHair ki duaen mangti hui
suna rahi hain git
ki koi muzhda-e-KHusha
bahaar-e-KHush-gulu-kar rag chheDti hui
zamin-zadiyan suna rahi hain git
samaaten khuli rakho
sunahri baaliyon mein jab
faraaz-e-lams-e-naznin se lau-pazir
mahakte dane baj uThen
to sun sako
zamin-zadiyan suna rahi hain git
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.