zanjir-e-ghulami
kahāñ tak ai sitamgar charḳh tadbīreñ ġhulāmī kī
ki ab bār-e-garāñ hai dil ko zanjīreñ ġhulāmī kī
sabaq detī haiñ āzādī kā tāsīreñ ġhulāmī kī
zabān-e-hāl se kahtī haiñ tasvīreñ ġhulāmī kī
ham apnā mulk apnā taḳht apnā taaj le leñge
kahe dete haiñ ham is saal meñ svārāj le leñge
rahegī ek qaum-e-ġhair kab tak hukmrāñ ham par
kahāñ tak hoñgī gūnā-gūñ sitam-ārā.iyāñ ham par
raheñ ḳhush qaid meñ ham aur hañse saarā jahāñ ham par
sunā ab aap ḳhush hoñ yā ḳhafā hoñ mehrbāñ ham par
ham apnā mulk apnā taḳht apnā taaj le leñge
kahe dete haiñ ham is saal meñ svārāj le leñge
bahut din tak uThā.e nāz-e-bejā aap ke ham ne
kaleja ab to chhalnī kar diyā hai ḳhanjar-e-ġham ne
huī bedār duniyā karvaTeñ badlī haiñ aalam ne
uThāyā hai ye beḌā ab hamārī qaum-e-be-dam ne
ham apnā mulk apnā taḳht apnā taaj le leñge
kahe dete haiñ ham is saal meñ svārāj le leñge
hamārā mulk hai is kī hukūmat haq hamārā hai
batāo to yahāñ par kaun sā hissa tumhārā hai
ki āzādī kī ḳhātir ham ko har iizā gavārā hai
ḳhudā ke fazl se rif.at pe qismat kā sitārā hai
ham apnā mulk apnā taḳht apnā taaj le leñge
kahe dete haiñ ham is saal meñ svārāj le leñge
ye sab āzād haiñ ab rang-e-āzādī dikhā.eñge
ki ab hindostāñ vaale fareboñ meñ na ā.eñge
mareñge jaan deñge ġham saheñge jail jā.eñge
magar ai 'zāhidā' ab jashn-e-āzādī manāeñge
ham apnā mulk apnā taḳht apnā taaj le leñge
kahe dete haiñ ham is saal meñ svārāj le leñge
kahan tak ai sitamgar charKH tadbiren ghulami ki
ki ab bar-e-garan hai dil ko zanjiren ghulami ki
sabaq deti hain aazadi ka tasiren ghulami ki
zaban-e-haal se kahti hain taswiren ghulami ki
hum apna mulk apna taKHt apna taj le lenge
kahe dete hain hum is sal mein swaraj le lenge
rahegi ek qaum-e-ghair kab tak hukmran hum par
kahan tak hongi guna-gun sitam-araiyan hum par
rahen KHush qaid mein hum aur hanse sara jahan hum par
suna ab aap KHush hon ya KHafa hon mehrban hum par
hum apna mulk apna taKHt apna taj le lenge
kahe dete hain hum is sal mein swaraj le lenge
bahut din tak uThae naz-e-beja aap ke hum ne
kaleja ab to chhalni kar diya hai KHanjar-e-gham ne
hui bedar duniya karwaTen badli hain aalam ne
uThaya hai ye beDa ab hamari qaum-e-be-dam ne
hum apna mulk apna taKHt apna taj le lenge
kahe dete hain hum is sal mein swaraj le lenge
hamara mulk hai is ki hukumat haq hamara hai
batao to yahan par kaun sa hissa tumhaara hai
ki aazadi ki KHatir hum ko har iza gawara hai
KHuda ke fazl se rifat pe qismat ka sitara hai
hum apna mulk apna taKHt apna taj le lenge
kahe dete hain hum is sal mein swaraj le lenge
ye sab aazad hain ab rang-e-azadi dikhaenge
ki ab hindostan wale farebon mein na aaenge
marenge jaan denge gham sahenge jail jaenge
magar ai 'zahida' ab jashn-e-azadi manaenge
hum apna mulk apna taKHt apna taj le lenge
kahe dete hain hum is sal mein swaraj le lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.