zanjir ki chiKH
samundar tujhe chhoḌ kar jā rahā huuñ
tū ye mat samajhnā
ki maiñ terī maujoñ kī zanjīr kī chīḳh se be-ḳhabar huuñ
yahī maiñ ne sochā hai apnī zamīñ ko
ufuq se pare yuuñ bichhā duuñ
Had-e-īn-o-āñ tak uThā duuñ
vo tū ho ki maiñ
apnī vus.at meñ lā-intihā haiñ
magar ham kināroñ ke maare hue haiñ
samundar tujhe chhoD kar ja raha hun
tu ye mat samajhna
ki main teri maujon ki zanjir ki chiKH se be-KHabar hun
yahi main ne socha hai apni zamin ko
ufuq se pare yun bichha dun
Had-e-in-o-an tak uTha dun
wo tu ho ki main
apni wusat mein la-intiha hain
magar hum kinaron ke mare hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.