zara sabr!
ik na.e daur kī tartīb ke sāmāñ hoñge
dast-e-jamhūr meñ shāhoñ ke girebāñ hoñge
barq ḳhud apnī tajallī kī muhāfiz hogī!
phuul ḳhud apnī latāfat ke girebāñ hoñge
naġhma-o-sher kā sailāb umaD aa.egā
vaqt ke sehr se ġhunche bhī ġhazal-ḳhvāñ hoñge
naav mañjdhār se be-ḳhauf-o-ḳhatar khelegī
nāḳhudā barbat-e-tūfāñ pe rajaz-ḳhvāñ hoñge
rāh-rau apnī masāfat kā sila māñgeñge
rahnumā apnī siyāsat pe pashemāñ hoñge
rāst-guftār ki haiñ nāqid-e-aulād-e-farañg
vaqt kahtā hai ki phir dāḳhil-e-zindāñ hoñge
''tū kahāñ jā.egī kuchh apnā Thikāna kar le
ham to kal ḳhvāb-e-adam meñ shab-e-hijrāñ hoñge''
ek nae daur ki tartib ke saman honge
dast-e-jamhur mein shahon ke gireban honge
barq KHud apni tajalli ki muhafiz hogi!
phul KHud apni latafat ke gireban honge
naghma-o-sher ka sailab umaD aaega
waqt ke sehr se ghunche bhi ghazal-KHwan honge
naw manjdhaar se be-KHauf-o-KHatar khelegi
naKHuda barbat-e-tufan pe rajaz-KHwan honge
rah-rau apni masafat ka sila mangenge
rahnuma apni siyasat pe pasheman honge
rast-guftar ki hain naqid-e-aulad-e-farang
waqt kahta hai ki phir daKHil-e-zindan honge
tu kahan jaegi kuchh apna Thikana kar le
hum to kal KHwab-e-adam mein shab-e-hijran honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.