zara socho to kya hoga
zamīñ uḌtī phiregī āsmāñ nīche bichhā hogā
zarā socho to aisā hogā duniyā meñ to kyā hogā
sitāroñ ko pakaḌ kar log kamroñ meñ sajā.eñge
havā ko bāñdh kar rakkheñge garmī meñ chillā.eñge
kabhī sūraj nahīñ niklā to sustī kī sazā deñge
uThak-baiThak karā.eñge use murġhā banā deñge
kabhī kar de man.a jo chāñd rātoñ meñ nikalne se
agar inkār kar deñ saare mausam rut badalne se
kahe machhlī ki maiñ jā.ūñgī apne pair par chal kar
agar kachhvā kahe mujh ko nikālo ḳhol se bāhar
lagā leñ loud-speaker agar bādal garajne ko
kaheñ bijlī nahīñ hai ā.eñge ham kal barasne ko
parinde ḳhud chalā kar gāḌiyāñ jaa.eñ jahāñ chāheñ
aur hāthī uḌte phirne ko baḌā sā pañkh lagvā.eñ
zarā socho to aisā hone lag jaa.e to kaisā ho
zamīñ par khāne piine kā na ho kuchh sirf paisa ho
agar har ek vo karne lage jo us kā dil chāhe
to kā.enāt kī har shai jagah se apnī hil jaa.e
magar allāh ne har chiiz ko qaabū meñ rakkhā hai
nizām-e-zindagī 'safdar' tabhī to itnā achchhā hai
zamin uDti phiregi aasman niche bichha hoga
zara socho to aisa hoga duniya mein to kya hoga
sitaron ko pakaD kar log kamron mein sajaenge
hawa ko bandh kar rakkhenge garmi mein chillaenge
kabhi suraj nahin nikla to susti ki saza denge
uThak-baiThak karaenge use murgha bana denge
kabhi kar de mana jo chand raaton mein nikalne se
agar inkar kar den sare mausam rut badalne se
kahe machhli ki main jaungi apne pair par chal kar
agar kachhwa kahe mujh ko nikalo KHol se bahar
laga len loud-speaker agar baadal garajne ko
kahen bijli nahin hai aaenge hum kal barasne ko
parinde KHud chala kar gaDiyan jaen jahan chahen
aur hathi uDte phirne ko baDa sa pankh lagwaen
zara socho to aisa hone lag jae to kaisa ho
zamin par khane pine ka na ho kuchh sirf paisa ho
agar har ek wo karne lage jo us ka dil chahe
to kaenat ki har shai jagah se apni hil jae
magar allah ne har chiz ko qabu mein rakkha hai
nizam-e-zindagi 'safdar' tabhi to itna achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.