zard aur sabz ka milap
bahār ho yā ḳhizāñ mausam donoñ hī
naġhmagī se bharpūr haiñ
vasl se judā.ī tak
ek saaz bajtā hai
jis kī dhun pe dhaḌkaneñ
māh-o-sāl kā qasīda paḌhtī haiñ
shāḳh ne chāhā
pattoñ ko joḌe rakhe magar
rang kī tabdīlī ne
mulāqāt ke zā.iqoñ kā lutf ḳhatm kar diyā
havā ne ek sabz daraḳht ko bikherā
miTTī kī ḳhushbū ne bāñheñ phailā kar
zard rang kā istiqbāl kiyā
october ke Dhalte shab-o-roz
thakan kā ehsās paidā karte hue apnā paiġhām
sabt kar rahe haiñ
ruuh udāsī ke ghere meñ
sabz rang kī mutalāshī hai
ḳhvāb ko ta.abīr pahnāte hue
maiñ ne havā kā zā.iqa chakhā
aur ye bhed pā liyā
ki zard aur sabz kā milāp
bahaar ho ya KHizan mausam donon hi
naghmagi se bharpur hain
wasl se judai tak
ek saz bajta hai
jis ki dhun pe dhaDkanen
mah-o-sal ka qasida paDhti hain
shaKH ne chaha
patton ko joDe rakhe magar
rang ki tabdili ne
mulaqat ke zaiqon ka lutf KHatm kar diya
hawa ne ek sabz daraKHt ko bikhera
miTTi ki KHushbu ne banhen phaila kar
zard rang ka istiqbaal kiya
october ke Dhalte shab-o-roz
thakan ka ehsas paida karte hue apna paigham
sabt kar rahe hain
ruh udasi ke ghere mein
sabz rang ki mutalashi hai
KHwab ko tabir pahnate hue
main ne hawa ka zaiqa chakha
aur ye bhed pa liya
ki zard aur sabz ka milap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.