zard KHushbu
tum apne bachche kī unglī thāme
apne shauhar ke saath chaltī huī
saḌak par
amaltās ke ek peḌ ke paas
se guzartī huī
ThiThak kar
Thahar ga.ī ho
ka.ī baras baa'd
zard ḳhushbū kī uñgliyoñ ne
anā kā parda
haTā diyā hai
kisī purāne hasīn lamhe kī yaad ne phir
tumheñ tumhārā pata diyā hai
tum apne bachche ki ungli thame
apne shauhar ke sath chalti hui
saDak par
amaltas ke ek peD ke pas
se guzarti hui
ThiThak kar
Thahar gai ho
kai baras ba'd
zard KHushbu ki ungliyon ne
ana ka parda
haTa diya hai
kisi purane hasin lamhe ki yaad ne phir
tumhein tumhaara pata diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.