zard laDki ka chehra
munjamid ḳhuun jab surḳh se kal siyah ho gayā
ḳhāk-e-pā vāqi.a ho gayā
zard laḌkī kā chehra farishtoñ ne dekhā thā
rangoñ kī tartīb meñ
jaane pahchāne chehroñ se merī mulāqāt jab ajnabī sī lagī
aa.ina dekhne ke liye maiñ uThā aa.ina ho gayā
tīrgī se guzartī huī raushnī barg-e-asrār thī
aañkh ke sāmne raushnī ḳhuun thī
ḳhuun pahle girā munjamid ho gayā phir siyah ho gayā
zard laḌkī kā chehra
guzartā huā barg-e-asrār thā
rahguzar se lapak kar makāñ meñ gayā
phir darīche meñ ubhrā
farishtoñ ne dekhā thā
maiñ ne bhī dekhā thā
maiñ bhī farishta thā
kal ke fasāne kī tartīb meñ lafz mujh se judā the
magar aaj mere haiñ kyoñ aaj bhī ajnabī ho ga.e un ko kyā ho gayā
un ko kyā ho gayā
munjamid ḳhuun pahle siyah ho gayā
phir faqat vāqi.a thā
magar zard laḌkī kā chehra ajab naqsh thā
maiñ miTātā thā lekin vo miTtā na thā
diid kā hādisa pahle manzar banā
phir faqat ek manzar se be-kār sā silsila ho gayā
zard laḌkī kā chehra ḳhudā se baḌā ḳhvāb thā
munjamid KHun jab surKH se kal siyah ho gaya
KHak-e-pa waqia ho gaya
zard laDki ka chehra farishton ne dekha tha
rangon ki tartib mein
jaane pahchane chehron se meri mulaqat jab ajnabi si lagi
aaina dekhne ke liye main uTha aaina ho gaya
tirgi se guzarti hui raushni barg-e-asrar thi
aankh ke samne raushni KHun thi
KHun pahle gira munjamid ho gaya phir siyah ho gaya
zard laDki ka chehra
guzarta hua barg-e-asrar tha
rahguzar se lapak kar makan mein gaya
phir dariche mein ubhra
farishton ne dekha tha
main ne bhi dekha tha
main bhi farishta tha
kal ke fasane ki tartib mein lafz mujh se juda the
magar aaj mere hain kyon aaj bhi ajnabi ho gae un ko kya ho gaya
un ko kya ho gaya
munjamid KHun pahle siyah ho gaya
phir faqat waqia tha
magar zard laDki ka chehra ajab naqsh tha
main miTata tha lekin wo miTta na tha
did ka hadisa pahle manzar bana
phir faqat ek manzar se be-kar sa silsila ho gaya
zard laDki ka chehra KHuda se baDa KHwab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.