Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zard patte

Rifat Sarosh

zard patte

Rifat Sarosh

MORE BYRifat Sarosh

    ḳhizāñ ke patte gul-o-yāsman vaadī meñ

    uḌā ke laa.e haiñ bād-e-shimāl ke tūfāñ

    ye zard patte haiñ yarqāñ-zada daraḳhtoñ ke

    ye zard patte haiñ madqūq zindagī ke nishāñ

    ḳhizāñ saaya na paḌ jaa.e is gulistāñ par

    uThāo parcham-e-gul ai chaman ke matvālo

    havā ke ruḳh ko badal do bahār maujo

    uḌā do samt-e-muḳhālif meñ zard pattoñ ko

    KHizan ke patte gul-o-yasman ki wadi mein

    uDa ke lae hain baad-e-shimal ke tufan

    ye zard patte hain yarqan-zada daraKHton ke

    ye zard patte hain madquq zindagi ke nishan

    KHizan ka saya na paD jae is gulistan par

    uThao parcham-e-gul ai chaman ke matwalo

    hawa ke ruKH ko badal do bahaar ki maujo

    uDa do samt-e-muKHalif mein zard patton ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now