zard suraj
muhīb rūhoñ ke qahqahoñ se
ma.āsir-e-jāñ laraz uThe haiñ
lahū kī raftār zahr-e-qātil kī dhaar ban kar
dil kī gahrā.iyoñ meñ paiham utar rahī hai
haDDiyāñ āgahī kī bedār aag meñ phir pighal rahī haiñ
hayāt se be-ḳhabar fazāoñ meñ
jism tahlīl ho rahā hai
shab-e-siyah ke Darāvne fāsloñ se laTkī huī
shappra-chashm ārzūeñ ye chāhtī haiñ
ki tīrgī ko maiñ ruuh apnī faroḳht kar duuñ
aur us ujāle ko bhuul jā.ūñ
jo ab bhī merā masīh-e-mau.ūd-e-jism-o-jāñ hai
muhīb rūhoñ ke qahqahoñ ne
merī āvāz chhīn lī hai
maiñ ghar kī dīvār par nigāheñ jamā.e baiThā huuñ
jaise mere tamām alfāz ghar kī dīvār meñ nihāñ haiñ
muhīb rūhoñ ke qahqahoñ meñ
kuchh ajnabī ajnabī sadā.eñ ubhar rahī haiñ
vaqt kā chaak chal rahā hai
zamīn kī saañs ukhaḌ rahī hai
maiñ sochtā huuñ
vo zard sūraj na-jāne kab aa.egā
ki jis kā
kitāb-e-sayyārgāñ meñ va.ada kiyā gayā hai
kitāb-e-sayyārgāñ ke mālik
maiñ is añdhere se thak gayā huuñ
muhib ruhon ke qahqahon se
maasir-e-jaan laraz uThe hain
lahu ki raftar zahr-e-qatil ki dhaar ban kar
dil ki gahraiyon mein paiham utar rahi hai
haDDiyan aagahi ki bedar aag mein phir pighal rahi hain
hayat se be-KHabar fazaon mein
jism tahlil ho raha hai
shab-e-siyah ke Darawne faslon se laTki hui
shappra-chashm aarzuen ye chahti hain
ki tirgi ko main ruh apni faroKHt kar dun
aur us ujale ko bhul jaun
jo ab bhi mera masih-e-mauud-e-jism-o-jaan hai
muhib ruhon ke qahqahon ne
meri aawaz chhin li hai
main ghar ki diwar par nigahen jamae baiTha hun
jaise mere tamam alfaz ghar ki diwar mein nihan hain
muhib ruhon ke qahqahon mein
kuchh ajnabi ajnabi sadaen ubhar rahi hain
waqt ka chaak chal raha hai
zamin ki sans ukhaD rahi hai
main sochta hun
wo zard suraj na-jaane kab aaega
ki jis ka
kitab-e-sayyargan mein wada kiya gaya hai
kitab-e-sayyargan ke malik
main is andhere se thak gaya hun
- Book : namuud (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.