zard zaiqa
ham aurteñ ek dūsre kī dushman haiñ
magar sab nahīñ
tum ham sab se mohabbat karte ho
magar hamesha nahīñ
mausam kis qadar jald biit jaate haiñ
aur mohabbateñ us se bhī jald
ab ye bhī guzre zamāne kī baat hai
jab mere chehre kī rangat aur tumhārī āñkhoñ ke rang ke darmiyān
ek be-nām rishta thā
aur merā sarāpā pas-e-manzar ko mādūm kar detā thā
fāsle ne mujhe manzar-nāme ke ek nuqta-e-mahz meñ tabdīl kar diyā hai
aur tum
mujhe ḳhānoñ meñ taqsīm karnā siikh rahe ho
aah mere bāġhoñ ke ber surḳh haiñ
aur zard zā.iqoñ kī justujū
tumhāre halaq ko khaTTā kar rahī hai
hum aurten ek dusre ki dushman hain
magar sab nahin
tum hum sab se mohabbat karte ho
magar hamesha nahin
mausam kis qadar jald bit jate hain
aur mohabbaten us se bhi jald
ab ye bhi guzre zamane ki baat hai
jab mere chehre ki rangat aur tumhaari aankhon ke rang ke darmiyan
ek be-nam rishta tha
aur mera sarapa pas-e-manzar ko madum kar deta tha
fasle ne mujhe manzar-name ke ek nuqta-e-mahz mein tabdil kar diya hai
aur tum
mujhe KHanon mein taqsim karna sikh rahe ho
aah mere baghon ke ber surKH hain
aur zard zaiqon ki justuju
tumhaare halaq ko khaTTa kar rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.