zarqa
to kyā vo jhuuT thā
tū ne jo us laḌkī se bolā thā
maiñ terī jhiil jaisī
niilī āñkhoñ par ġhazal ke sher likkhūñgā
maiñ terī reshmī zulfoñ meñ
apnī nazm ke motī piro.ūñgā
maiñ terī dūdhiyā rañgat kalā.ī meñ
tilā.ī chūḌiyoñ aise
khanakte giit pahnāne kā ḳhvāhāñ huuñ
mujhe ma.alūm hai fursat nahīñ miltī
bahut se aur mauzuāt bhī
maanā zarūrī haiñ
magar us se kiyā va.ada
bhalā kyā kam zarūrī hai
tū aisā kar
koī apnī purānī nazm us ke naam kar de
yā
ġhazal ke sher meñ radd-o-badal kar ke
kisī sūrat bhī us kā tazkira kar de
jo terī shā.irī ke aa.ine ke sāmne
siñghār karne baiTh jaatī hai
nahīñ
mujh se to aisā bhī nahīñ mumkin
use merī sabhī nazmeñ
sabhī ġhazleñ
zabānī yaad hotī haiñ
use to merī vo ġhazleñ bhī azbar haiñ
jo maiñ ne
jā ke sadiyoñ ba.ad kahnī haiñ
maiñ un yāqūt hoñToñ par
faqat
ḳhāmoshiyāñ hī sabt kartā huuñ
to kya wo jhuT tha
tu ne jo us laDki se bola tha
main teri jhil jaisi
nili aankhon par ghazal ke sher likkhunga
main teri reshmi zulfon mein
apni nazm ke moti pirounga
main teri dudhiya rangat kalai mein
tilai chuDiyon aise
khanakte git pahnane ka KHwahan hun
mujhe malum hai fursat nahin milti
bahut se aur mauzuat bhi
mana zaruri hain
magar us se kiya wada
bhala kya kam zaruri hai
tu aisa kar
koi apni purani nazm us ke nam kar de
ya
ghazal ke sher mein radd-o-badal kar ke
kisi surat bhi us ka tazkira kar de
jo teri shairi ke aaine ke samne
singhaar karne baiTh jati hai
nahin
mujh se to aisa bhi nahin mumkin
use meri sabhi nazmen
sabhi ghazlen
zabani yaad hoti hain
use to meri wo ghazlen bhi azbar hain
jo main ne
ja ke sadiyon baad kahni hain
main un yaqut honTon par
faqat
KHamoshiyan hi sabt karta hun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 143)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.