zarra
mujhe baañT kar kyā karoge
maiñ zarra huuñ zarre kā juz kyā karoge
magar mere yaaro
jo tum mujh ko āzād kar do hisār-e-badan se
to ik mauj ban jā.ūñgā maiñ
tavānā.ī meñ ġham kī tabdīl ho jā.ūñgā maiñ
na.ī shakl pā kar
tumhāre bahut kaam ā.ūñgā maiñ
mujhe banT kar kya karoge
main zarra hun zarre ka juz kya karoge
magar mere yaro
jo tum mujh ko aazad kar do hisar-e-badan se
to ek mauj ban jaunga main
tawanai mein gham ki tabdil ho jaunga main
nai shakl pa kar
tumhaare bahut kaam aaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.